
Hashim aur saudagar…….
Bahut hi teji se vah shahar bagdad ki taraf Chala ja Raha tha kyunki use ladke ko yakin tha bagdad mein use panah mil jayegi lekin yahan fikra use Puri Tarah sata rahe the ki shahar ke darvaje per lash ko kaise chhupaye manjil ke pass pahunchne ke bad Jab ek chhoti si basti ke kareeb pahuncha to usne lash ko ghani jhadiyon ke bich mein chhupa Diya aur basti mein jakar lakadi ka ek bada Sa sanduk khareed Kar le Aaya aur usne lash ko band Karke bagdad ki taraf chal Diya Raat Ka waqt tha shahar Baghdad ka darvaja band karne ka waqt ho chuka tha tabhi vahan Chor use mein dakhil hua fir usne Dekha samne ek shakhs khada tha aur usne use rok liya aur Kaha tumko mere yahan char roj mehman bankar rahana hoga kyunki main har jumme ki raat ko yahan aata hun aur sabse aakhir mein aane wale ko apna mehman banata hun aaj ittefaq se shahar mein dakhil hone wale tum aakhri shakhs ho chor chor Jo is waqt ek lash ko liye hue the vah sochne laga ab mujhe kya Karna chahie agar main iske yahan mehman thahar Gaya to ise lash ka hal jarur maloom ho jaega lekin FIR use khyal Aaya agar main Kisi Sarai mein Gaya vahan bhi yah Raj khule bagair Nahin rahega isase to isase behtar Hain main ISI saudagar ke yahan mehman bankar ruk jaaun yah sochkar vah kahane laga aap Jaise insan ke yahan rukna meri khushnasibi hai saudagar ne muskurate hue Kaha ki mujhe Khushi hui Tumne meri dawat qubool Kar li FIR vah use Chor ko Apne sath apni haveli mein le Gaya vahan use ek saje hue kamre mein le Gaya aur kahane laga tumhare liye yah kamra hai yahan jarurat ki har chij maujud hai tumhen Kisi kism ki chij ki Kami Nahin hogi is kamre mein khidki aur Roshan Dan Nahin hai is kamre mein darvaja bhi aisa hai ki tumhen bahar kasur sunai Nahin dega Chor bola yah table per rakha mor mujhe bahut pasand Aaya saudagar bola is mor mein bahut se purje lage hue hain vah chahie Jab waqt harkat mein aate Hain tab yah mor naachne lagta hai tab Chor bola kya main is mor Ka nach dekh sakta hun tab saudagar ne Kaha iske naachne ka waqt mukrar hai Jab waqt aaega yah khud b khud naachne lagega yah yad rakhna Jab yah nach raha ho iske kareeb bilkul mat Jana Chor ne mor ko Gaur se dekhte hue Kaha yah bahut kimati maloom hota hai aapane ise kahan se hasil Kiya FIR saudagar ne Kaha yah mujhe tohfe mein mila tha aur fir usne Tali bajai aur apne naukar ko bulaya aur kahan khana taiyar ho gaya ho to fauran dastarkhan per laga Diya jaaye naukar ne Kaha dastarkhan per khana lag chuka hai tab saudagar ne Chor ka hath pakda aur dusre kamre mein le Gaya aur use Apne sath khana khilaya khane ke bad saudagar ne Kaha ab tum aaram karo cal sham FIR mulakat hogi tabhi wah bola kya aap din mein yahan Nahin hoge Nahin main subah savere hi Chala jaunga saudagar bola aur sham ko wapas aata hun Chor ne khuda hafiz Kaha aur apne kamre mein wapas a Gaya aur darvaja andar se band kar liya usne thodi der aaram karne ke bad sandook khola shehzadi ki lash nikaali FIR Jeb se lal rumal nikal kar Apne chehre per hawa de aur hawa lagte hi farsh per gir pada aur insan se ek Kala nag ban gaya fir usne shehzadi ki pindli per ek nishan Dekha aur use per muh rakhkar jahar chusne laga jahar chuste chuste Jab khoon nikalne laga to usne chusna chhod Diya aur ek kone mein jakar vah mitti chatne laga mitti chatne ke bad vah apni asali shakal mein a Gaya aur idhar shehzadi ne bhi apni aankhen khol Di aur kahane lagi Mere halat mein kante chubh rahe hain jaldi se mujhe Pani do tabhi Chor ne surahi se Pani nikala aur shehzadi ko Diya shehzadi ne Pani piya FIR use Sahara dekar palang per leta Diya FIR mej per rakha hua mewa uthakar use khilaya Megha khane ke bad shehzadi ki Jaan mein Jaan I to usne poochha main Kahan hun to Chor main jawab Diya mera naam hashim hai aur main aapke hi mulk ka rahane wala hun lekin is waqt shahar bagdad hai ham mein sahjadi kuchh sochte hue Kahan aankh khulne se pahle main ek khwab dekh rahi thi bahut hi bhayanak khwab tha magar jo kuchh Maine Dekha aankh khulne ke bad bhi vahi najar a raha hai hashim bola sapne mein kya Dekha tha.
Age ki kahani agle part me